Ayurvedic dohe in hindi 3


Ayurvedic Dohe 





Pratah kal Pani piye, Ghut Ghut kar aap
bus do - tin glass hai, har Ausadhi ka Baap.






Chana Chun Bin Nun ke, jo Chausath Din Khaye.
Daad, Khaj aur Sehua, Bawasir Mit jaye.






Roj Mulethi Chusiye, Cough bahar aa jaye.
Bane Surila Kanth bhi, Sabko Lagat Suhaye







Pani Karke Gunguna, Methi Dev Bhigaaye.
Subah Chabakar Neer Pi, Raktchap Sudhraye.






Fal ya Mitha Khaike, Turat n Pije Neer.
Ye Sab Choti Aant me, Bante Vishdhar Tir.







Lauki Ka Ras Pijiye, Chokar Yukt Pisan.
Tulsi , Gur , Sendha Namak, Hriday Rog Nidaan.







Machli ke Sang Doodh ya, Doodh-Chai , Namkeen.
Charm Rog Ke Sath me, Rog Bulate Tin.







Aalu ka Ras auru Sahad, Haldi Pis Lagao,
Aalp Samay me Thik ho, Jalan , Fafole, Ghao.







Thand Lage Jab Aapko , Sardi Se Behal.
Nimbu Madhu ke Sath me, Adrak Piye Ubal.








Pratah Sandhya Pijiye, Khali Pet Sneh.
Jamun - Guthli Pishiye, nahi rahe Madhumeh.






Tel Tadka Chor kar , Nit Ghuman ko jaye.
Madhumeh ka nash ho , jo jan alsi Khaye.





Chaitra Mah me Neem ki, Patti har din Khave.
Jwar, Dengue ya Malaria, Barah Mil Bhagave.


Agar apko ye Blog post achi lagi hai toh apne dosto ya parivar walo ko share karna na bhule .

No comments:

Post a Comment

PLEASE LEAVE YOUR VALUABLE FEEDBACK