Ayurvedic dohe Hindi Part 2


Ayurvedic Dohe




Aloevera - Amla ,
 kare khun me bridhi,
Udar vyadhiya dur ho,
jivan me ho sidhi.




Chach hing sendha namak,
Dur kare sab Rog,
Jira ushme dalkar,
Piye sada yah Bhog.






Tulsidal Dus lijiye,
Uthkar Pratah kaal,
Sehat sudare Apki,
Tan-Man Malamal.






Pita thori Chach jo,
Bhojan karke Roj,
Nahi Jarurat Vaid ki,
Chehre par ho Ooj.










Nimbu Besan Jal Sahad,
Misrit lep lagaye,
Chehra Sundar Tab Bane ,
Behtar Yahi Upaye.







Thora sa Gur Lijiye,
Dur rahe sab roj,
Adhik kabhi mat
khaea, chahe Mannbhog.







Bis mili Ras Amla,
Panch Gram Madhu sang,
Subah Saam me Chatiye,
Bare Jyoti Sab Dang.








Bis mili Ras Amla,
Haldi ho ek Gram,
Sardi kaf Taklif me,
Fauran ho Aaram.








Muh me Badbu ho Agar,
Dalchini Mukh Dal,
Bane Sugandhit Mukh,
Mahak, Dur hoye Tatkal.






Saat Patra le Neem ke,
Khali Pet Chabaye,
Dur Kare Madhumeh ko,
Sab kuch mann ko Bhaye.



 DOSTO AGAR APKO YE DOHE ACHI LGI HAI TOH APNE DOSTO , PARIVAR WALO KO SHARE KARNA NA BHULE.

No comments:

Post a Comment

PLEASE LEAVE YOUR VALUABLE FEEDBACK